Ae logo! Allah se daro

 

Ae logo! Allah se daro

🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

🌺حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ الْمُصَفَّى الْحِمْصِيُّ قَالَ : حَدَّثَنَا الْوَلِيدُ بْنُ مُسْلِمٍ ، عَنِ ابْنِ جُرَيْجٍ ، عَنْ أَبِي الزُّبَيْرِ ، عَنْ جَابِرِ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ ، قَالَ : قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : «أَيُّهَا النَّاسُ اتَّقُوا اللَّهَ وَأَجْمِلُوا فِي الطَّلَبِ ، فَإِنَّ نَفْسًا لَنْ تَمُوتَ حَتَّى تَسْتَوْفِيَ رِزْقَهَا وَإِنْ أَبْطَأَ عَنْهَا ، فَاتَّقُوا اللَّهَ وَأَجْمِلُوا فِي الطَّلَبِ ، خُذُوا مَا حَلَّ ، وَدَعُوا مَا حَرُمَ»


🌺रसूलुल्लाह ﷺ ने फ़रमाया: ए लोगो अल्लाह से डरो और अच्छे तरीक़े से रोज़ी तलब करो क्योंकि कोई इन्सान अपना रिज़्क़ पूरा किए बग़ैर नहीं मरेगा अगरचे उस ( रिज़्क़ के हुसूल ) में देर हो जाये। चुनांचे अल्लाह से डरो और अच्छे तरीक़े से रोज़ी तलब करो। जो हलाल है, वो ले लो और जो हराम है, वो छोड़ दो।


🌺Rasoolullah ﷺ ne farmaya: Ae logo! Allah se daro aur achhe tareeqe se rozi talab karo kyun ke koi insaan apna rizq poora kiye baghair nahi marega agarche uss ( rizq ke husool ) mein der ho jaye. Chunanche Allah se daro aur achhe tareeqe se rozi talab karo. jo halaal hai, woh le lo aur jo haraam hai, woh chhod do.


🌺رسول اللہ ﷺ نے فرمایا : ’’ اے لوگو ! اللہ سے ڈرو اور اچھے طریقے سے روزی طلب کرو کیونکہ کوئی انسان اپنا رزق پورا کیے بغیر نہیں مرے گا اگرچہ اس ( رزق کے حصول ) میں دیر ہو جائے ۔ چنانچہ اللہ سے ڈرو اور اچھے طریقے سے روزی طلب کرو ۔ جو حلال ہے ، وہ لے لو اور جو حرام ہے ، وہ چھوڑ دو ۔‘‘


🌺The Messenger of Allah (ﷺ) said: O people, fear Allah and be moderate in seeking a living, for no soul will die until it has received all its provision, even if it is slow in coming. So fear Allah and be moderate in seeking provision; take that which is permissible and leave that which is forbidden.


📜 Wazahat: Halaal rozi ka ehtemaam karne wala rozi se mehroom nahi rehta. Allah par tawakkal karte hue haraam rozi se ijtenaab karna chahiye. Jis tarah dunyawi zindagi ki muddat muqarrar hai, us mein kami Beshi nahi hogi, usi tarah rizq bhi mutayyan hai lekin insaan ko us ki sahih ya ghalat koshish ki wajah se sawab ya gunah haasil ho jata hai.


Insaan ki zimmedari hi nahi balke farz hai ke rizq halaal talaash kare aur usi se apni aur apne ahlo ayaal ki parwarish kare. Jo jism halaal kamai se parwarish paye, woh saaf wa shafaaf-tar wa taaza aur pakeeza rehta hai, Zehan o fikar aur khayalaat umdah hote hain, nez ibadaat ki taraf ma'el hote hain. Is ke bar aks yani jo jism haraam kamai se parwarish paye, woh pakeezgi se koso duur, aur us ke khayalaat manfi hote hain. ALLAH ta'ala faramata hai 


> _"Ae Imaan walo! jo pakeezah cheeze hum ne tumhe rizq ke tor par ata ki hain, un me se ( jo chahao ) khao , aur ALLAH ka shukar ada karo..."_ [📖Al'Quran 2: 172]


📚 _Sunan Ibne Majah: jild 3, kitab Al Tijaraat 12, hadith no.

 2144_

Grade Sahih

Previous Post Next Post