Safar azaab ka ek tukda hai,

 

Safar azaab ka ek tukda hai,

🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

🌺حدثنا هشام بن عمار ، وابو مصعب الزهري ، وسويد بن سعيد ، قالوا: حدثنا مالك بن انس ، عن سمي مولى ابي بكر بن عبد الرحمن، عن ابي صالح السمان ، عن ابي هريرة ، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" السفر قطعة من العذاب يمنع احدكم نومه وطعامه وشرابه، فإذا قضى احدكم نهمته من سفره فليعجل الرجوع إلى اهله".


🌺 हज़रत अबु हुरैरा रज़ी अल्लाह अन्हु कहते हैं कि रसूलुल्लाह ﷺ ने फ़रमाया: “सफ़र अज़ाब का एक टुकड़ा है, ये तुम्हारे सोने और खाने-पीने (की सहूलतों) में रुकावट बनता है। लिहाज़ा तुम में से जब कोई अपने सफ़र की ज़रूरत पूरी कर ले, तो जल्द से जल्द अपने घर लौट आए।”


🌺Hazrat Abu Huraira razi Allah anhu kehte hain ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya: “Safar azaab ka ek tukda hai, ye tumhare sone aur khaane peene (ki sahulaton) mein rukawat banta hai. Lihaza tum mein se jab koi apne safar ki zarurat poori kar le, to jald se jald apne ghar laut aaye.”


🌺 حضرت ابوہریرہ رضی اللہ عنہ کہتے ہیں کہ رسول اللہ ﷺ نے فرمایا: ”سفر عذاب کا ایک ٹکڑا ہے، وہ تمہارے سونے، اور کھانے پینے (کی سہولتوں) میں رکاوٹ بنتا ہے، لہٰذا تم میں سے کوئی جب اپنے سفر کی ضرورت پوری کر لے، تو جلد سے جلد اپنے گھر لوٹ آئے“۔


🌺 Hazrat Abu Huraira (may Allah be pleased with him) reported that the Messenger of Allah ﷺ said: “Travel is a portion of hardship; it deprives a person of his sleep, food, and drink. Therefore, when one of you has fulfilled the purpose of his journey, he should hasten to return to his family.”


📜 _Wazahat ~_


🔹 Safar mein kai tarah ki takaleef aur mushakkat hoti hai jab ke ghar ki raahat o aaraam Allah ka ehsaan hai, is liye Bina kisi wazeh wajah ke yunhi idhar udhar ghoomna munaasib nahi.


🔹 Mehaz tafreeh ke tor par taweel safar karna ek fazool mashghala hai jo waqt aur doulat ka ziya hai, khaas tor par ghair Muslim mumalik mein jahan jahili tehzeeb tamaam qabahaton ke saath poori quwwat se asar andaaz hoti hai. Bila zarurat wahan ka safar karke apne imaan aur iffat ko khatre mein daalna mahaz himaqat hai.


🔹 Shar’i tor par jayez maqasid ke liye safar karna jayez hi nahi, mustahsan bhi hai, balkeh baaz auqaat farz bhi ho jata hai. Misal ke tor par farz Hajj o Umrah ki adaigi ke liye, ya aise ilm ke husool ke liye jo watan mein dastiyab nahi.


Is ke ilawa kisi bhi jayez maqsad ke liye safar karna durust hai, misaal ke tor par: Masjid-e-Haram, Masjid-e-Nabawi (ﷺ) ya Masjid-e-Aqsa ki ziyarah ke liye, isi tarah kisi nek aadmi ya rishtedaron aur doston se mulaqat ke liye aur tijarat o mulaazimat waghera ke liye.


📚 _Sunan Ibne Majah: jild 4, Kitaab al-Manasik 25, hadith

 no. 2882_

Grade Sahih

Previous Post Next Post