🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃
🌺وَعَنْ أَبِي بَكْرَةَ قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «مَا مِنْ ذَنْبٍ أَحْرَى أَنْ يُعَجِّلَ اللَّهُ لصَاحبه الْعقُوبَة فِي الدُّنْيَا مَعَ مايدخر لَهُ فِي الْآخِرَةِ مِنَ الْبَغْيِ وَقَطِيعَةِ الرَّحِمِ» . رَوَاهُ التِّرْمِذِيّ وَأَبُو دَاوُد
🌺हज़रत अबु बकरा ؓ बयान करते हैं, रसूलुल्लाह ﷺ ने फ़रमाया: " ज़ुल्म-ओ-सरकशी और क़ता रहमी ( रिश्तेदारों से बुग्ज़ / बैर रखना ) ऐसे गुनाह हैं कि उनके मुर्तक़िब को अल्लाह दुनिया में सज़ा देने के साथ साथ उसे आख़िरत में भी ज़ख़ीरा कर लेता है।"
🌺Hazrat abu bakra ؓ bayan karte hain, Rasoolullah ﷺ ne farmaya: "zulm o sar kashi aur qata rehmi ( Rishtedaron se bugz/baer rakhna ) aise gunah hain ke un ke murtakib ko Allah duniya mein saza dene ke sath sath usay akhirat mein bhi zakheera kar leta hai."
🌺حضرت ابوبکرہ ؓ بیان کرتے ہیں ، رسول اللہ ﷺ نے فرمایا : "ظلم و سرکشی اور قطع رحمی ( رشتےدارو سے بغض رکھنا ) ایسے گناہ ہیں کہ ان کے مرتکب کو اللہ دنیا میں سزا دینے کے ساتھ ساتھ اسے آخرت میں بھی ذخیرہ کر لیتا ہے" ۔
🌺 Hazrat Abu Bakara ( RA) quotes that he heard the Prophet ﷺ said: "Tyranny, transgression and breaking relations with the relatives are such sins for which Allah punishes people committing them here and will preserve punishment for them for the day of judgement."
📜 wazahat: Rasoolullah ﷺ ne farmaya: _''Allah ke yaha sab se bura amal Allah ke sath shirk karna, phir rishtedari todna hai."_
[📗sahih Al jaame Al saghir: 166].
Ek dosre Hadees mein aap ﷺ ne farmaya Qata rehmi karne ( Rishtedaron se bugz/baer rakhne ) wala jannat mein nahi jayega.
[📗Bukhari: 5984].
Reham se murad aise qareebi rishtedar hain jinse nasbi talluq ho khwa waris ho ya naa ho aur khwa Mehram ho ya naa ho. Allah swt ka irshad
> _Aur tumse yeh bhi baeed nahi ke tum ko agar hukumat mill jaye to tum zameen par fasaad berpa kardo aur rishtay natay tor dalo._
[📖Quran 47:22]
Allah taala ne jab sila rehmi ko wujood mein laya to iska naam reham apne naam Rehman se mushtaq kiya aur reham (rishtedari) ko milaane ka hukm diya aur torne se mana farmaya, chunancha yeh harkat shirk ke baad Allah ta'ala ko sab se buri lagti hai, isliye har momin ko chahiye ke woh apne rishtedaron se achhe tallukaat banaye, unka khaas khayal rakhe.
📚 _Mishkat ul Masabih: hadith no. 4932_
📚 _Jami` at-Tirmidhi: jild 4, kitab sifat Al-Qiyamah, Ar-Riqaq wa Al-Wara 37, hadith
no. 2511_
Grade Sahih
