🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃
🌺حَدَّثَنا أبُو بَكْرٍ قالَ: حَدَّثَنا يُونُسُ بْنُ مُحَمَّدٍ، عَنْ حَمّادِ بْنِ سَلَمَةَ، عَنْ أبِي جَعْفَرٍ الخِطْمِيِّ، عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ كَعْبٍ، عَنْ أبِي قَتادَةَ، قالَ: سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ ﷺ يَقُولُ: «مَن نَفَّسَ، عَنْ غَرِيمِهِ أوْ مَحا عَنْهُ كانَ فِي ظِلِّ العَرْشِ يَوْمَ القِيامَةِ»
🌺नबी करीम ﷺ ने फ़रमाया: "मक़रूज़ (क़र्ज़ लेने वाले) से नरमी बरतने या उस का क़र्ज़ माफ़ कर देने वाला रोज़ ए क़यामत अर्श के साय में होगा।"
🌺Nabi kareem ﷺ ne farmaya: "maqrooz ( karz lene walay ) se narmi baratne ya us ka karz maaf kar dene wala roz e qayamat arsh ke saaye mein hoga."
🌺رسول اللہ ﷺ نے فرمایا: "مقروض ( قرض لینے والے ) سے نرمی برتنے یا اس کا قرض معاف کر دینے والا روز قیامت عرش کے سائے میں ہوگا ۔"
🌺The Messenger of Allah (ﷺ) said: “On the Day of Resurrection, the one who is lenient with the debtor or forgives his debt will be in the shadow of the Throne.”
📜 Wazahat: Jo shakhs kisi maqrooz ko mohlat deta hai ya uske qarz ko aasani se wasool karta hai, woh Allah ke nazdeek bohot maqam rakhta hai. Narmi baratne se dilon mein mohabbat aur ikhlaas paida hota hai aur muashre mein hamdardi ki fiza qayem hoti hai.
Agar koi shakhs qarz maaf karta hai, to yeh Allah ki raza ke husool ka ek bohot bada zariya hai. Qayamat ke din Allah Ta'ala aise logon ko apne Arsh ke saaye mein jagah ata farmayenge, jahan koi aur saaya na hoga.
Is hadees ki roshni mein hume apni rozmarrah zindagi mein dosre logon ke saath narmi aur reham dili ka bartao karna chahiye aur agar mumkin ho to maqrooz logon ki madad karke unka bojh halka karna chahiye. Allah ta'ala faramata hai ~
> _"Aur agar koi tangi wala ho to usay aasani tak mohlat deni chahiye aur sadqa karo to tumhare liye bohot hi behtar hai, agar tum mein ilm ho."_
[📖 Al'Quran 2:280]
📚 _Musannaf ibn Abi shaiba: 4/546 hadith no. 23017_
📚 _Sunan Dar
mi: 2631_
Grade Hasan
