Allah taala us shakhs ko tar o tazah rakhay jis ne

Allah taala us shakhs ko tar o tazah rakhay jis ne

 🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

🌺حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ بَشَّارٍ، ‏‏‏‏‏‏ وَمُحَمَّدُ بْنُ الْوَلِيدِ، ‏‏‏‏‏‏قَالَا:‏‏‏‏ حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ ابْنُ جَعْفَرٍ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا شُعْبَةُ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ سِمَاكٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِيهِ، ‏‏‏‏‏‏عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ:‏‏‏‏ نَضَّرَ اللَّهُ امْرَأً سَمِعَ مِنَّا حَدِيثًا فَبَلَّغَهُ، ‏‏‏‏‏‏فَرُبَّ مُبَلَّغٍ أَحْفَظُ مِنْ سَامِعٍ.


🌺नबी करीम ﷺ ने फ़रमाया: "अल्लाह तआला उस शख़्स को तर-ओ-ताज़ा रखे जिसने मेरी कोई हदीस सुनी और उसे दूसरों तक पहुंचा दिया, इसलिए की बहुत से वो लोग जिन्हें हदीस पहुंचाई जाती है वो सुन ने वालों से ज़्यादा याद रखने वाले होते हैं।"


🌺Nabi kareem ﷺ ne farmaya: "Allah taala us shakhs ko tar o tazah rakhay jis ne meri koi hadees suni aur usay dusron tak pohcha diya, isliye ke bohat se woh log jinhen hadees pohchai jati hai woh sun ne walon se zeyada yaad rakhne walay hotay hain."


🌺نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا، ”اللہ تعالیٰ اس شخص کو تروتازہ رکھے جس نے میری کوئی حدیث سنی اور اسے دوسروں تک پہنچا دیا، اس لیے کہ بہت سے وہ لوگ جنہیں حدیث پہنچائی جاتی ہے وہ سننے والوں سے زیادہ یاد رکھنے والے ہوتے ہیں ۔“


🌺The Messenger of Allah (ﷺ) said: “May Allah cause his face to shine, the man who hears a Hadith from us and conveys it, for perhaps the one to whom it is conveyed may remember it better than the one who (first) hears it.”


📜 Wazahat: "Is hadees mein basharat hai ke Sahaba Karam رضی اللہ عنھم ke baad bhi har daur mein huffaz hadees mojood rahenge agarche in ki tadaad kisi daur mein bohot zeyada aur kisi daur mein kam hogi.

Hifz hadees se aam tor par hadees ko zabani yaad rakhna murad liya jata hai lekin tehriri ( likh kar ) tor par hadees ko mehfooz kar lena bhi hifz hadees mein shamil hai.

Aima-e-hadees ne dono tarah hadees ko mehfooz kiya hai balki Sahaba Karam mein se mutaadid hazraat hadees tehriri tor par mehfooz rakhte the aur zabani bhi yaad karte the aur riwayat karte the."


📚 _Sunan ibne majah: jild-1, kitab Al-Taharah wa Sunnah 1, hadith no. 23

2_

Grade Sahih


Previous Post Next Post