🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃
🌺حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن سفيان، حدثني سلمة بن كهيل. ح وحدثنا ابو نعيم، حدثنا سفيان، عن سلمة، قال: سمعت جندبا، يقول: قال النبي صلى الله عليه وسلم ولم اسمع احدا يقول، قال النبي صلى الله عليه وسلم غيره، فدنوت منه فسمعته يقول: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" من سمع، سمع الله به، ومن يرائي، يرائي الله به".
🌺 नबी करीम ﷺ ने फ़रमाया कि (किसी नेक काम के नतीजे में) जो शोहरत का तालिब हो, अल्लाह तआला उसकी बदनीयती क़यामत के दिन सबको सुना देगा। उसी तरह जो कोई लोगों को दिखाने के लिए नेक काम करेगा, अल्लाह भी क़यामत के दिन उसे सब लोगों को दिखा देगा।
🌺 Nabi Kareem ﷺ ne farmaya ke (kisi nek kaam ke natije mein) jo shohrat ka taalib ho, Allah ta‘ala uski badniyati qayamat ke din sab ko suna dega. Ussi tarah jo koi logon ko dikhane ke liye nek kaam karega, Allah bhi qayamat ke din usay sab logon ko dikha dega.
🌺 نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ (کسی نیک کام کے نتیجہ میں) جو شہرت کا طالب ہو اللہ تعالیٰ اس کی بدنیتی قیامت کے دن سب کو سنا دے گا۔ اسی طرح جو کوئی لوگوں کو دکھانے کے لیے نیک کام کرے گا اللہ بھی قیامت کے دن اس کو سب لوگوں کو دکھلا دے گا۔
🌺 The Prophet ﷺ said: Whoever performs good deeds with the intention that people hear of them and praise him, Allah will expose his true motives before all on the Day of Resurrection. And whoever performs righteous acts to be seen and admired by others, Allah will make his reality known and disgrace him before the people.
📜 wazahat: Is hadees ka mafhoom yeh hai ke jo shakhs koi nek amal ikhlaas ke baghair, sirf logon ko dikhane ya sunane ke liye karta hai, Allah ta‘ala qayamat ke din uske baatin ko sab ke saamne zaahir kar dega. Uske zahir kiye gaye a‘maal ki haqeeqat khol di jayegi aur usay un a‘maal ka koi ajar ya sawaab nahi milega. Aise riya-kar (dikhawe waley) logon se hi jahannam ka aaghaz kiya jayega, jo zahiri tor par nek kaam karte the lekin unka maqsad shohrat aur numaish ke siwa kuch naa tha. Allah ta‘ala humein is waba se mehfooz rakhe.
Albattah kuch mauqon par a‘maal ka zaahir karna zaroori hota hai, jaise farz namazon ka ba-jama‘at ada karna ya deeni kutub o taleemaat ki asha‘at karna. Aise kaam agar ikhlaas ke sath kiye jayein to in mein izhar ba‘is-e-khair hota hai. Isi tarah jo shakhs logon ke liye peshwa ya rehnuma ho, uske liye munasib hai ke woh apne nek a‘maal zaahir kare taake doosre uski perwi karein. Lekin har haal mein niyat ka khalis hona laazim hai, kyun ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya: _“A‘maal ka daar o madar niyaton par hai.”_ Wallahu A‘lam.
📚 _Sahih Bukhari: Jild 8, Kitab Ar-Riqaaq 81, h
adith no. 6499_
