Hazrat Aisha razi Allah anha se rewayat hai ke

Hazrat Aisha razi Allah anha se rewayat hai ke

 🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

🌺حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ عُبَيْدٍ الْغُبَرِيُّ حَدَّثَنَا أَبُو عَوَانَةَ عَنْ قَتَادَةَ عَنْ زُرَارَةَ بْنِ أَوْفَى عَنْ سَعْدِ بْنِ هِشَامٍ عَنْ عَائِشَةَ عَنْ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ رَكْعَتَا الْفَجْرِ خَيْرٌ مِنْ الدُّنْيَا وَمَا فِيهَا.

🌺हज़रत आयशा रज़ि अल्लाह अन्हा से रिवायत है कि नबी करीम ﷺ ने फ़रमाया: “फ़ज्र की दो रकअतें दुनिया और जो कुछ दुनिया में है, उससे बेहतर हैं।”

🌺Hazrat Aisha razi Allah anha se rewayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne farmaya: “Fajr ki do rakatain duniya aur jo kuch duniya mein hai, us se behtar hain.”

🌺حضرت عائشہ رضی اللہ عنہا سے روایت ہے کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”فجر کی دو رکعتیں دنیا اور جو کچھ دنیا میں ہے، اس سے بہتر ہیں۔“

🌺Narrated by Aisha (may Allah be pleased with her) that the Messenger of Allah ﷺ said: “The two units (rak‘ahs) of the Fajr prayer are better than the world and everything it contains.”

📜 wazahat: Fajr se moraad 2 rakat sunnat mu’akkadah (farz se pehle) hai aur inhi 2 rakat sunnat ki zeyada ta’keed aayi hai.


🔹 Nabi Kareem ﷺ naa to ye sunnate safar mein tark karte aur naa hi apne hujre mein. Rasoolullah ﷺ fajr ki 2 rakat se zeyadah kisi bhi nawafil namaz ka itna khayal nahi rakhte the.

[📗 Bukhari: 1163]


🔹 Rasoolullah ﷺ fajr ki 2 sunnat rakato mein: Surah Qul ya ayyuhal kafiruun Aur Surah Qul huwallahu Ahad padhte thay.

[📗 Sahih Muslim: 726]


🔹 Agar kisi sahabi razi Allah anhu ki ye 2 rakat sunnat farz se pehle chhoot jati

toh sahaba ekram usse farz ke fauran baad ada kar lete (ya sooraj nikalne se pehle).

[📗 Tirmidhi: 422]


📚 _Sahih Muslim: jild 2, kitab salat ul musafireen wa qasarha 6, had

ith no. 1688/(INT.:725)_

Post a Comment

Previous Post Next Post