Hazrat Abu Musa razi Allahu anhu se rewayat hai ke

 

Hazrat Abu Musa razi Allahu anhu se rewayat hai ke

🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

🌺‏‏‏‏ حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ الْمُثَنَّى حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ جَعْفَرٍ حَدَّثَنَا شُعْبَةُ عَنْ عَمْرِو بْنِ مُرَّةَ قَالَ سَمِعْتُ أَبَا عُبَيْدَةَ يُحَدِّثُ عَنْ أَبِي مُوسَى عَنْ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ إِنَّ اللَّهَ عَزَّ وَجَلَّ يَبْسُطُ يَدَهُ بِاللَّيْلِ لِيَتُوبَ مُسِيءُ النَّهَارِ وَيَبْسُطُ يَدَهُ بِالنَّهَارِ لِيَتُوبَ مُسِيءُ اللَّيْلِ حَتَّى تَطْلُعَ الشَّمْسُ مِنْ مَغْرِبِهَا.


🌺हज़रत अबू मूसा रज़ि अल्लाहु अन्हु से रिवायत है कि मैंने नबी ﷺ को फ़रमाते हुए सुना: "अल्लाह अज़्ज़ो वजल रात को अपना हाथ ( रहमत बंदों की तरफ़ ) फैला देता है ताकि दिन को गुनाह करने वाला तौबा करे और दिन को अपना हाथ ( रहमत ) फैला देता है ताकि रात को गुनाह करने वाला तौबा करे ( और वो उस वक़्त तक यही करता रहेगा ) यहां तक कि सूरज मग़रिब से तुलु हो जाये ( कयामत आ जाए )"।


🌺Hazrat Abu Musa razi Allahu anhu se rewayat hai ke main ne Nabi ﷺ ko farmate hue suna: "Allah azzo wajal raat ko apna haath ( rehmat bandon ki taraf ) phaila deta hai taa ke din ko gunah karne wala touba kare aur din ko apna haath ( rehmat ) phaila deta hai taa ke raat ko gunah karne wala touba kare ( aur woh us waqt tak yahi karta rahega ) yahan tak ke Sooraj maghrib se tulu ho jaye (Qayamat aa jaye)".


🌺حضرت ابوموسیٰ رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ میں نے نبی صلی اللہ علیہ وسلم کو فرماتے ہوئے سنا: ”اللہ عزوجل رات کو اپنا دست ( رحمت بندوں کی طرف ) پھیلا دیتا ہے تاکہ دن کو گناہ کرنے والا توبہ کرے اور دن کو اپنا دست ( رحمت ) پھیلا دیتا ہے تاکہ رات کو گناہ کرنے والا توبہ کرے ( اور وہ اس وقت تک یہی کرتا رہے گا ) یہاں تک کہ سورج مغرب سے طلوع ہو جائے ۔“ 


🌺Narrated from Hazrat Abu Musa (may Allah be pleased with him): I heard the Prophet ﷺ say: "Allah, the Exalted, extends His hand (of mercy) during the night so that the one who sinned during the day may repent, and He extends His hand (of mercy) during the day so that the one who sinned during the night may repent. (He would accept repentance) before the sun rises in the west (before the Day of Resurrection)". 


📜 *wazahat:* Allah ka karam fazl, aur sakhi pan apne bandon ke liye kitna wasee hai, uski makhlooq din raat uski nafarmaniyan karti hai, lekin phir bhi woh unke sath burdbaari ka maamla farmata hai, fouran unhen azaab se dochar nahi karta, balke unhen rizq aur aafiat se nawazta hai, aur unpar zahiri nematon ki barish farmata hai, phir unhen haasil shuda susti aur kotahi par touba ki dawat deta hai, balke is par unhen maghfirat aur sawab ka bhi wada deta hai.


Allah ta'ala apne bande ki touba par bohat khush hota hai, aur agar Allah ki ita'at karte hue, touba karle to wada ilahi zaroor paa lega, aisa shakhs duniya mein achhi zindagi aur akhirat mein behtareen sawab haasil karte hue kamyaab ho jayega. Insh'a Allah.


📚 _*Sahih Muslim: jild 6, kitab At-tauba 50, hadith no. 69

89/(INT.:2759)*_

Post a Comment

Previous Post Next Post