(Hazrat Abdullah bin Umar razi Allah anhuma ki ahliya)

 🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

🌺حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ الْمُثَنَّى الْعَنَزِيُّ، حَدَّثَنَا يَحْيَى يَعْنِي ابْنَ سَعِيدٍ، عَنْ عُبَيْدِ اللهِ، عَنْ نَافِعٍ، عَنْ صَفِيَّةَ، عَنْ بَعْضِ أَزْوَاجِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: «مَنْ أَتَى عَرَّافًا فَسَأَلَهُ عَنْ شَيْءٍ، لَمْ تُقْبَلْ لَهُ صَلَاةٌ أَرْبَعِينَ لَيْلَةً»

🌺 (हज़रत अब्दुल्लाह बिन उमर रज़ी अल्लाहु अन्हुमा की अहलिया) सफ़िय्या ने नबी करीम ﷺ की एक अहलिया से, और उन्होंने नबी करीम ﷺ से रिवायत की के आप ने फ़रमाया: *"जो शख़्स किसी ग़ैब की ख़बरें सुनाने वाले के पास आए और उस से किसी चीज़ के बारे में पूछे तो 40 रातों तक उस शख़्स की नमाज़ क़ुबूल नहीं होती।"*

🌺(Hazrat Abdullah bin Umar razi Allah anhuma ki ahliya) Safiyyah ne Nabi Kareem ﷺ ki ek ahliya se, aur unhon ne Nabi Kareem ﷺ se riwayat ki ke Aap ne farmaya: *"Jo shakhs kisi ghaib ki khabrein sunane wale ke paas aaye aur us se kisi cheez ke bare mein poochhe to 40 raaton tak us shakhs ki namaz qubool nahi hoti."*

🌺 (حضرت عبداللہ بن عمر رضی اللہ عنہما کی اہلیہ) صفیہ نے نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم کی ایک اہلیہ سے اور انہوں نے نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم سے روایت کی، کہ آپ نے فرمایا : *’’جو شخص کسی غیب کی خبریں سنانے والے کے پاس آئے اور اس سے کسی چیز کے بارے میں پوچھے تو 40 راتوں تک اس شخص کی نماز قبول نہیں ہوتی ۔‘‘*

🌺Safiyyah, the wife of Abdullah ibn Umar, may Allah be pleased with them both, narrated from one of the wives of the Prophet ﷺ, who narrated from the Prophet ﷺ, that he said: "Whoever goes to a fortune-teller and asks them about something, their prayer is not accepted for 40 nights."

📜 *Wazahat:* Is hadees ka mafhoom ye hai ke jo shakhs kisi aise fard ke paas jaye jo gumshuda ya chori shuda cheez ki jagah batane ka dawa kare, ya koi aise asbsab se mustaqbil ke bare mein pesh goiyan kare, aur us shakhs ki baton par yaqeen kare ya un par amal kare, to 40 din tak uski namaz ka ajr o sawab muattal rehta hai. Agarche wo apni namaz padhta rahe aur apni shara’i zimmedari poori karta rahe, lekin usay namaz ke roohani fayede aur barkat haasil nahi hogi. Iska matlab ye hai ke namaz zahiri tor par ada ho rahi hai, lekin uski roohani qubooliyat mein khalal paida ho chuka hai.


Yaha namaz ke qubool na hone ka mafhoom ye bhi hai ke namaz ka darja qubooliyat buland nahi hoga, na ke namaz bilkul naqis ya batil hogi. Is hadees ka maqsad logon ko ghaib ki khabrein batane walon aur kahinon se door rakhna hai taake unke aqeede mein khurafaat aur tohmaat na aayein. Aise afrad se rujoo karna aur unpar yaqeen karna Islami taleemat ke khilaaf hai aur roohaniyat ko nuksaan pohchata hai.


📚 _*Sahih Muslim: kitab us salaam 39, hadith no. 5821/(INT.: 2230)*_


Previous Post Next Post