🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃
🌹حَدَّثَنَا عَبَّاسُ بْنُ مُحَمَّدٍ الدُّورِيُّ، حَدَّثَنَا خَالِدُ بْنُ مَخْلَدٍ، حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ عُمَرَ الْعُمَرِيُّ، عَنْ سَعْدِ بْنِ سَعِيدٍ الْأَنْصَارِيِّ، عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: لَا تَقُومُ السَّاعَةُ حَتَّى يَتَقَارَبَ الزَّمَانُ فَتَكُونُ السَّنَةُ كَالشَّهْرِ، وَالشَّهْرُ كَالْجُمُعَةِ، وَتَكُونُ الْجُمُعَةُ كَالْيَوْمِ، وَيَكُونُ الْيَوْمُ كَالسَّاعَةِ، وَتَكُونُ السَّاعَةُ كَالضَّرَمَةِ بِالنَّارِ .
🌹हज़रत अनस बिन मालिक रज़ि अल्लाह अन्हु कहते हैं कि रसूलुल्लाह ﷺ ने फ़रमाया: "क़यामत नहीं क़ायम होगी यहाँ तक कि ज़माना क़रीब हो जाएगा। साल एक महीने के बराबर हो जाएगा, जबकि एक महीना एक हफ्ते के बराबर और एक हफ्ता एक दिन के बराबर, और एक दिन एक साअत (घड़ी) के बराबर हो जाएगा, और एक साअत (घड़ी) आग से पैदा होने वाली चिंगारी के बराबर हो जाएगी।"
🌹Hazrat Anas bin Malik razi Allah anhu kehte hain ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya: "Qayamat nahi qayem hogi yahan tak ke zamana qareeb ho jayega. Saal ek mahine ke barabar ho jayega, jabke ek mahina ek hafta ke barabar aur ek hafta ek din ke barabar, aur ek din ek sa'at (ghadi) ke barabar ho jayega, aur ek sa'at (ghadi) aag se paida hone wali chingari ke barabar ho jayegi."
🌹حضرت انس بن مالک رضی الله عنہ کہتے ہیں کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”قیامت نہیں قائم ہو گی یہاں تک کہ زمانہ قریب ہو جائے گا ۱؎ سال ایک مہینہ کے برابر ہو جائے گا جب کہ ایک مہینہ ایک ہفتہ کے برابر اور ایک ہفتہ ایک دن کے برابر اور ایک دن ایک ساعت ( گھڑی ) کے برابر ہو جائے گا اور ایک ساعت ( گھڑی ) آگ سے پیدا ہونے والی چنگاری کے برابر ہو جائے گی“۔
🌹Anas ibn Malik may Allah be pleased with him said that the Messenger of Allah ﷺ said: "The Hour will not be established until time becomes close together. A year will be like a month, and a month will be like a week, and a week will be like a day, and a day will be like an hour (clock), and an hour (clock) will be like a spark created by fire."
📜 wazahat: Zamana qareeb ho jane ka matlab ye hai ke ya to waqt ki barkatein kam ho jayengi, jis ke nateeje mein log waqt ka sahi istemal naa kar payenge aur faide ki bajaye nuqsan zeyada hoga, ya yeh is baat ki taraf ishara hai ke dunyawi mashaghil aur masrufiyat is qadar badh jayengi ke logon ko din aur raat ke guzarne ka ehsaas tak nahi hoga. Yeh kefiyat insaan ki ghair mamooli masrufiyat, dunyadari mein gharaq ho jane aur zindagi ke maqsad ko bhula dene ki nishandahi karti hai, jis ke nateeje mein waqt tezi se guzarta hua mehsoos hoga, halanke woh haqeeqi tor par apni raftaar mein koi tabdeeli nahi karega. Ye alamat qayamat ke qareeb hone ki nishaniyon mein se ek hai.
"Ek ghadi aag se paida hone wali changari ke barabar ho jayegi" ka matlab yeh hai ke waqt bohot mukhtasir aur be-barkat ho jayega. Ek lamha ya ghanta is qadar tezi se guzrega jaise aag ki changari ka pal bhar mein khatam ho jana ho.
📚 _Jami` at-Tirmidhi: jild 4, Kitab az Zuhd 36, hadith no. 2332_
Grade Sahih
خ