Sayyedna Abdulallah bin abbas razi Allah anho se rewayat hai

 🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

🌺‏‏‏‏ ثنا عَلِيُّ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ مُبَشِّرٍ , نا عَبْدُ الْحَمِيدِ بْنُ بَيَانٍ , نا خَالِدُ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ , عَنْ خَالِدٍ يَعْنِي الْحَذَّاءَ , عَنْ بَرَكَةَ أَبِي الْوَلِيدِ , عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ , عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: «إِنَّ اللَّهَ تَعَالَى إِذَا حَرَّمَ شَيْئًا حَرَّمَ ثَمَنَهُ»


🌺सय्यदना अब्दुल्लाह बिन अब्बास रज़ि अल्लाहु अन्हो से रिवायत है कि रसूलुल्लाह ﷺ ने फ़रमाया बेशक अल्लाह तआला ने किसी चीज़ को हराम करार दिया तो उस की क़ीमत ( यानी ख़रीदने और बेचने ) को भी हराम करार दिया है।


🌺Sayyedna Abdulallah bin abbas razi Allah anho se rewayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya : be-shak Allah taala ne kisi cheez ko haraam qarar diya to us ki qeemat ( yani kharidne aur bechne ) ko bhi haraam qarar diya hai.


🌺سیدنا عبد اللہ بن عباس رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ رسول اللہ ﷺ نے فرمایا: بیشک اللہ تعالی نے کسی چیز کو حرام قرار دیا تو اس کی قیمت ( یعنی خریدنے اور بیچنے ) کو بھی حرام قرار دیا ہے ۔ 


🌺 It is narrated on the authority of 'Abdullah ibn' Abbas (may Allah be pleased with him) that the Messenger of Allah ﷺ said: Indeed, if Allaah has made something forbidden, He has also made it forbidden to buy (sell and buy) its price.


📜 *Wazahat:* Quran wa hadees me jin cheezo ko haram qarar diya hai maslan khinzeer ka ghosht sharab ya koi bhi nashe wali cheeze, jis tarha sharab peena aur khinzeer ka ghosht waghera khana muslmaan par haram isi tarah ise khareedna bechna bhi haram hai, mardo par sona ( gold ) aur resham ( Silk ) pehenna haram hai Isiliye mard ke liye bani sone ki anghoothi, bracelet, resham ka bana kapda khareedna bhi haraam hai. Dekha jaata hai Aaj kal ke musalman ghair muslimo ke mazhabi tehwaro ki cheeze bechte nazar ate hain jaise holi ka rang, pichkariya, rakhi aur ghair muslimo ke devi devtao ke mujasme waghera waghera ye tamaam cheezo ki tijarat bilkul jayez nahi haram hai, aur ye unke mazhabi tehwaro me madad karna hai. Allah taala farmata hai ~

> _*Aur neki aur taqwa mein ek dosre ke saath taawwun karo, aur gunah aur zulm mein taawwun naa karo, aur Allah say dartay raho. Beshak Allah ka azab bada sakht hai.*_

[📖Surah Al-Ma’idah 5:2]

Musalmano ko chahiye ke paisa halal zariye se kamaye.


📚 _*Sunan Dar qutni, jild 3 page no . 388 , hadith no. 2815*_ 

*Grade Sahih*


Previous Post Next Post