us shakhs ki namaz kaafi naa hogi

us shakhs ki namaz kaafi naa hogi

 🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

🌺‏‏‏‏ حَدَّثَنَا أَحْمَدُ بْنُ مَنِيعٍ، حَدَّثَنَا أَبُو مُعَاوِيَةَ، عَنْ الْأَعْمَشِ، عَنْ عُمَارَةَ بْنِ عُمَيْرٍ، عَنْ أَبِي مَعْمَرٍ، عَنْ أَبِي مَسْعُودٍ الْأَنْصَارِيِّ الْبَدْرِيِّ، قَالَ:‏‏‏‏ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏ لَا تُجْزِئُ صَلَاةٌ لَا يُقِيمُ فِيهَا الرَّجُلُ يَعْنِي صُلْبَهُ فِي الرُّكُوعِ وَالسُّجُودِ.


🌺रसूलुल्लाह ﷺ ने फरमाया: उस शख़्स की नमाज़ काफ़ी ना होगी जो रुकू और सज्दे में अपनी पीठ सीधी ना रखे।


🌺Rasoolullah ﷺ ne farmaya: us shakhs ki namaz kaafi naa hogi jo ruku aur sajday mein apni peeth seedhi naa rakhe.


🌺 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”اس شخص کی نماز کافی نہ ہو گی جو رکوع اور سجدے میں اپنی پیٹھ سیدھی نہ رکھے“۔


🌺Allah's Messenger ﷺ said: The Salat is not acceptable if a man is not at rest - meaning his back - while bowing and prostrating.


📜 Wazahat: Sahaba ekraam aur unke baad ke logon mein se ahle ilm ka isi par amal hai ke aadmi ruku aur sajday mein apni peeth seedhi rakhay.


Hazrat wabisah bin ma'bad r.a kehte hain ke main ne nabi kareem ﷺ ko namaz padhte hue dekha, jab aap ﷺ ruku karte toh apni kamar barabar rakhte yaha tak ke agar aap ﷺ ki kamar par paani daal diya jata toh wo thamm jata [📗ibne majah 872].


Ruku aur sajde mein kamar seedhi karne ka matlab hai itminaan se ruku aur sajda ada karna. Yani ruku karte waqt poori tarah jhuk jaye, jis tarah ruku ka sahih tareeqa hai,

aur sajda karte waqt poori tarah itminaan se sajda kare, jis tarah sajde ka masnoon tareeqa hai.


Namaz ke arkaan itminaan aur i'tedaal ke saath ada na karne se namaz qabool nahi hoti. Isi liye Rasool Allah ﷺ ne us sahabi razi Allah ta'ala anhu ko dobara namaz padhne ka hukm diya tha jis ne namaz ke af’aal jaldi jaldi bila itminaan ada kiye the.

Dekhiye: [📗Sahih al-Bukhari: 793]


Is se yeh baat samajh aati hai ke namaz mein sukoon aur har rukun ko theek tarah se ada karna zaroori hai.


📚 _Jam e Tirmidhi: jild 1, kitab As Salah 2, hadi

th no. 265_

Grade Sahih


Previous Post Next Post