Hazrat Abu Hurairah razi Allahu anhu kehte hain ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya

 🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

🌺‏‏‏‏ حَدَّثَنَا أَبُو كُرَيْبٍ، حَدَّثَنَا عَبْدَةُ بْنُ سُلَيْمَانَ، وَعَبْدُ الرَّحِيمِ، وَمُحَمَّدُ بْنُ بِشْرٍ، عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ عَمْرٍو، حَدَّثَنَا أَبُو سَلَمَةَ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ:‏‏‏‏ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏ الْحَيَاءُ مِنَ الْإِيمَانِ، ‏‏‏‏‏‏وَالْإِيمَانُ فِي الْجَنَّةِ، ‏‏‏‏‏‏وَالْبَذَاءُ مِنَ الْجَفَاءِ، ‏‏‏‏‏‏وَالْجَفَاءُ فِي النَّارِ.

🌺हज़रत अबु हुरैरा रज़ि अल्लाहु अन्हु कहते हैं कि रसूलुल्लाह ﷺ ने फ़रमाया: हया ईमान का एक जुज़ है और ईमान वाले जन्नत में जाऐंगे और बेहयाई का ताल्लुक़ ज़ुल्म से है और ज़ालिम जहन्नुम में जाऐंगे।

🌺Hazrat Abu Hurairah razi Allahu anhu kehte hain ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya: ”Haya imaan ka ek juzz hai aur imaan walay jannat mein jayenge aur be hayai ka talluq zulm se hai aur zalim jahannum mein jayenge“.

🌺 حضرت ابوہریرہ رضی الله عنہ کہتے ہیں کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”حیاء ایمان کا ایک جزء ہے اور ایمان والے جنت میں جائیں گے اور بےحیائی کا تعلق ظلم سے ہے اور ظالم جہنم میں جائیں گے ۔“

🌺Hazrat Abu Hurairah, may Allah be pleased with him, narrated that Rasoolullah ﷺ said: 'Modesty is a part of faith, and the people of faith will enter Paradise, while obscenity stems from oppression, and the oppressors will go to the Hellfire.'"

📜 *wazahat:* Jis tarah imaan sahib-e-iman ko gunaho se rokne ka sabab hai, isi tarah haya insaan ko ma'siyat aur gunaho se bachata hai, balki uske liye ek tarah ki dhaal hai, isi wajah se haya ko iman ka juzz kaha gaya hai. Haya ek aisi khoobi hai jo insaan ko bure kamon aur baton se rokta hai taake wo ruswa na ho. Lekin haya hamesha shariat ke mutabiq honi chahiye. Ilm hasil karne, haq baat kehne ya nek kam karne me haya nahi karni chahiye. Is hadees me haya ko is liye khaas ahmeyat di gayi hai kyun ke ye neki karne aur burai se bachne ki bunyadi wajah banti hai.


> Rasoolullah ﷺ ne farmaya: *tum mein do khaslatein hain jo Allah ko mehboob hain, ek sabr aur dusri HAYA*

[📗 Ibne majah: 4188]


Dosre alfaazon mein haya is kefiyat ka naam hai jo Allah ki nematon ke haasil hone aur un nematon ka shukar ada naa karne ki wajah se wehshat ke sath dil mein paayi jaye.

> Rasoolullah ﷺ ne farmaya: *be-hayai jis chiz mein bhi ho usko aibdar bana degi, HAYA jis chiz mein ho use khoobsurat bana degi.*

[📗ibne majah: 4185]

📚 _*Jamiat Tirmidhi: jild 4, kitab Al bir wa's silah 27, hadith no. 2009*_

*Grade sahih*


Previous Post Next Post