🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃
🌹حَدَّثَنَا مُسْلِمُ بْنُ إِبْرَاهِيمَ ، حَدَّثَنَا هِشَامٌ ، حَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ أَبِي كَثِيرٍ ، عَنْ أَبِي سَلَمَةَ ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ ، عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ، قَالَ : لَا يَتَقَدَّمَنَّ أَحَدُكُمْ رَمَضَانَ بِصَوْمِ يَوْمٍ أَوْ يَوْمَيْنِ ، إِلَّا أَنْ يَكُونَ رَجُلٌ كَانَ يَصُومُ صَوْمَهُ فَلْيَصُمْ ذَلِكَ الْيَوْمَ.
🌺हज़रत अबू हुरैरह रज़ि अल्लाहु अन्हु बयान करते हैं कि रसूलुल्लाह ﷺ ने फ़रमाया: तुम में से कोई शख़्स रमज़ान से पहले ( शाबान की आख़िरी तारीख़ों में ) एक या दो दिन के रोज़े ना रखे अलबत्ता अगर किसी को उनमें रोज़े रखने की आदत हो तो वो उस दिन भी रोज़ा रख ले।
🌹Hazrat Abu Hurairah razi Allah anhu bayan karte hain ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya: tum mein se koi shakhs ramzan se pehle ( shabaan ki aakhri tarikhon mein ) ek ya do din ke rozay naa rakhay Albatta agar kisi ko un mein rozay rakhnay ki aadat ho to woh us din bhi roza rakh le.
🌺حضرت ابوہریرہ رضی اللہ عنہ بیان کرتے ہیں، رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: تم میں سے کوئی شخص رمضان سے پہلے ( شعبان کی آخری تاریخوں میں ) ایک یا دو دن کے روزے نہ رکھے البتہ اگر کسی کو ان میں روزے رکھنے کی عادت ہو تو وہ اس دن بھی روزہ رکھ لے۔
🌹Hazrat Abu Hurairah (may Allah be pleased with him) reported that the Messenger of Allah ﷺ said: "None of you should fast a day or two before Ramadan, except for a person who has a habit of fasting on those days, then he may fast on that day."
📜 *wazahat:* Ramzan ke istiqbaal ke pesh-e-nazar is mubarak mahine se ek ya do din pehle roza rakhna jaiz nahi hai.
Albatta kuch khaas sooraton mein in dinon ka roza rakhna jaiz hai, jinki tafseel yeh hai:
• Agar koi shakhs har Peer ya Jumerat ka roza rakhta ho aur ittefaq se Sha‘ban ka aakhri din Peer ya Jumerat ho jaye, to woh apni aadat ke mutabiq us din roza rakh sakta hai.
• Agar kisi ke zimmah qaza ke roze baqi hon, to woh Ramzan se ek ya do din pehle unhein ada kar sakta hai.
• Isi tarah kaffara ya nazr ka roza bhi in dinon mein rakha ja sakta hai.
Hafiz Ibn Hajar rahimahullah ne likha hai ke ehtiyaat ke taur par Ramzan se ek ya do din pehle istiqbaali roza rakhna mana hai. Imam Tirmizi rahimahullah ne bhi is hadees ka yahi mafhoom bayan kiya hai.
[📗Fath al-Bari: 4/165]
Is mana karne ki hikmat yeh hai ke Ramzan ke farz rozon ke liye taqat aur taza-dami baqi rahe, aur nafli roza farz rozon ke sath mil kar logon mein kisi qisam ka shakk paida na kare.
📚 _*Sahih Bukhari: jild 3, kitab sifat As sawm 30, hadith no. 1914*_